EMAIL SUBSCRIB KARE

banner image

Benefits of Carrot | janiye gajar ke bemisal phayde hindi me

Sardiyo ke maosam me gajar khana sehat ke liye bahut phaydemand hota hai. isme vitamin aur menerals bahut adhik matra me paye jate hai. sath hi isme vitamin - A, vitamin - B, vitamin C, calcium aur fyber hota hai. jo colestrol ka level badane nahi deta.

Benefits of Carrot

》Health benefits of Radish in hindi 

》Orange health benefits in hindi

》Health benefits of green chilli  

Benefits of Carrot in hindi 

Aankho ki roshni ke liye - : 


rojana gajar ka sevan karne se aankho ki roshni achchhi rahti hai. kyunki isme vitamin - A aur vitamin - C hota hai. iske alawa isme achchhi matra me menerals aur silicone bhi hota hai. jo aankho ki roshni tej karne ka kaam karte hai. 

Healthy skin - : 

gajar me kai vitamin aur menerals maojood hote hai. isme anti oxidant beeta carotene, alfa carotene, calcium, vitamin - A, vitamin - B 1, vitamin - B 2, vitamin - C aur vitamin - E bhi hote hai. jinki bajah se skin me chamak aati hai. isliye gajar ka sevan karna behad labhkari hai. 

Haddiyo ko majboot banaye - : 

jin logo ki haddiyon me pareshani rahti ho unko rojana gajar ka istemal jarur karna chahiye. Kyunki isme calcium ki paryapt matra maojood hoti hai. jo haddiyon ko majboot karti hai. 

Digestion theek rakhe - : 


rojana gajar ka juice peene se sharir me hemoglobin ki matra bad jati hai. aur isme paryapt matra me fayber bhi paya jata hai. jo pachan kriya ko tej karta hai. 

Sardi aur jukaam - : 

rojana gajar ka juice peene se sardi aur jukaam ki samasya se bacha ja sakta hai. sath hi iske sevan se infection ki samasya se bhi bachav rahta hai. 

Periods ke samay - : 

gajar ka sevan karne se blood flow control rahta hai. aur yeh periods me hone wale dard se bhi rahat deti hai. kyunki isme beeta carotene ki achchhi matra maojood hoti hai. jo periods ke samay hone wali takleefo se bachata hai. 

Blood ki kami door kare - : 


agar sharir me blood ki kami ho to rojana gajar ka juice peene se blood ki kami ko door kiya ja sakta hai. 
Benefits of Carrot | janiye gajar ke bemisal phayde hindi me Benefits of Carrot | janiye gajar ke bemisal phayde hindi me Reviewed by Unknown on December 29, 2016 Rating: 5

No comments:

Powered by Blogger.